Humsafar chahiye umar bhar chahiye mp4 download
Yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaron, Jisse karte hai usi se chupani parti hai. Na janay q nahi laga mujay dar is zamanay say Suna hai pyar karnay walo ki aesi hi fitrat hay. Meray mehboob agar koi laga day mujh ko sooli bhi Meri mayyat bhi bolay gi mujhay tum say mohabbat hay.
Shaad raha tha vo uski yadoon mein sadaa is kadar…. Subah ke ujjalo mein andhere talash karta tha…. Kuch ajeeb, zindagi se juda juda si thi saksheeyat uski…. Bhari bazm mein tanhaai talash karta tha. Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao. Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao. Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao.
Zindagi Par Kitab Likhungi. Us me sare hisab likhungi. Or main us se judaie ka sabab apni kismat kharab likhungi. Janun ko zabt sikha loon to phir chaley jana mein apna aap sanbhaa loon to phir chaley jana. Hai isi mein pyar ki aabroo Woh jafa kare main wafa karoon Jo wafa bhi kaam na aa sake To wohi kahen ke main kya karoon. Mujhe gham bhi unka azeez hai Ke unhi ki di hui cheez Yehi gham hai ab meri zindagi Ise kaise dil se juda karoon.
Jo na ban sake main woh baat hoon Jo na khatm ho main woh raat hoon. Yeh likha hai mere naseeb mein Yoon hi shamma banke jala karoon. Na kisiki dil ki hoon aarzoo Na kisi nazar ki hoon justujoo. Main woh phool hoon jo udaas ho Na bahaar aaye to kya karoon.
Koi tumse puche kon hoon main Tum keh dena koi khaas nahi Ek dost hai kacha paka sa Ek jhoot hai aadha sacha sa Ek khuwab adhoora poora sa Ek phooL hai rookha sookha sa Ek sapna hai bin socha sa Ek apna hai an dekha sa Ek rishta hai an jana sa Haqiqat men afsana sa Kuch pagaL sa deewana sa Bas ek bahana achha sa Jeevan ka aisa sathi hai Jo door ho k bhi paas nhi Koi Tumse puche kon hoon main?
Tum keh dena koi khaas Nahi. Kahin Ka Nai Rehta. Us ne kaha Ye Udasi Q Ha? Tum jin ko daikhti rehti ho Wo khwaab sirhaanay rakhta hun. Main tum say milnay julnay k kitnay he bhanay rakhta hun. Main aisi Muhabbat karta hun.
Tum kaisi Muhabbat karti ho. Kuch khwaab saja kar Aankh0n main Palko0n se M0ti chunta hun. Koi lams agar cho jaye to Main pehro0n tumko sochta hun.
Main chashm-e-tasswor se aksar. Bus tumko daikhta rehta hun. Tm pass raho ya door raho Nazro0n me samaayi rehti ho. Main tumko takta rehta hun Main tumko s0chta rehta hun.
Tum kaisi Muhabbat karti ho? Udaas tehreer parh k meri, mere sanam muskra na dena. Ye aakhri khat Main likh raha hoon, Khayal karna Jala na dena. Guzar rahi hai tumhari kaise, bichhar k hum se, rula k hum ko Haqeeqton ko zaroor likhna, anna ki khatir chhupa na dena. Koi jo pooche kidhar gaya wo, jo teri mehfil ka tha sahara Jo furqaton ka sabab banay thay, kisi bashar ko bata na dena. Main mar bhi jaon to muskrana, ehsas-e-ghum ki na chot khana.
Jo qurb-e-ghum se nigahain bheegain to rukh se aanchal hata na dena. Jo phaar bhi do to paas rakhna, hawa mein tukry ura na dena. Lo apna jahan dunia walo ham es dunia ko chor chalay Jo reshtay natay joray thay woh reshtay natay tor chalay. Kuch sukhh k sapnay dikh chalay Kuch dukh k sapnay jheel chalay Taqdeer ki undhi gardish ny jo khail khailay khail chalay.
Har cheez tumhari lota di ham laey k nahi kuch saath chalay Phir dosh na dina aey loogo ham dikh lo khali haath chalay.
Ye raha akaili katti hey yaan saath na koi Yaar chalay Us paar na janay kia paein es paar tu sab kuch haar chalay. Array Sahib Zara Rukye!! Kehna ghalt ghalt to chupana sahi sahi,. Qasid kaha jo us ne batana sahi sahi,. Ye subha subha chehre ki rangaat urri hui,.
Kal raat tum kahan the batana sahi sahi,. Dil le k mera hath main kehte hain mujh se wo,. Kiya lo ge is ka daam, batana sahi sahi,. Aankhein milao ghair se, do hum ko jam-e-mey,.
Saqi tumhain qasam hai pilana sahi sahi,. Aye meh faroosh bheerr hai teri dukan pr,. Gahaq hain hum be-maal dikhana sahi sahi,. Kiya aap bhi hain us k batana sahi sahi? Jab dekh kr chala jaye meri Mayat, Phir tayari krna mujhe jaldi Dafnane ki, q k….
Jis ki jhankaar meN dil ka aaraam tha, woh teraa naam tha Mere hoNtoN pe raqsaaN jo ek naam tha, woh teraa naam tha. Mujh se mansoob thiN daastaanaiN kayi, Ek se ek nayee Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, woh teraa naam tha.
Subh se shaam tak jo mere paas thi, woh teri aas thi Shaam tak jo kuchh lab E baam, woh teraa naam tha. Dost jitne the naa aashnaa ban gaye, paarsaa ban gaye Jo mere saath ruswa sar E aam tha, woh teraa naam tha. Gham ne taarikiyoN me uchhaalaa mujhe, maar daalaa mujhe Ek nayi chaaNdni ka jo paigham tha, woh teraa naam tha.
Chaley ayo, K tum bin hum udas hain, Yeh shaamain yeh sawerey udas hain, Dekho meri ankho main, Teri yaad k ansoo machaltey hain, Aur mera dil kerchi kerchi seeney main chubhta hai.
Chaley ayo K yeh rut phir nai aye ge yeh phool ek bar hi khiltay hain. Is sawan ki shaam ki bondain tum se kehti hain. Chaley ayo, Chaley ayo. Hume pane ki arzoo me karte the sajda ratbhar, Ajj unko humare haq me dua karne ki fursat nahi,. Shaid mujh say baat karnay ka bahana wo mit gaya, ya kuch bhool janay ki usay aadat nahi rahi. Aankhon mei meri dekh k wo aansoo khush hai, shaid usay meray dukh say ab idawat nahi rahi. Tum jub b lot kar Aana, Tu Aana shaam se pehle. Mujhe hergiz na bhule ga, Tumhara muskura dena, Tumhara jaan likh dena, Hamare naam se pehle.
Lutta ke tujh par sab kuch mein apna….. Teri dunia toh tera Sheher chor jaongi….. Phir kabhi na laut ke aaongi…… Bas phir mein bhi Pyar karne waalon ke dilon me……. Ek Yaad bankar reh jaongi…….. Khuda Kismat bhi na majboor kar sake wapas jaane ko……. Kuch iss tarah teri har Gali Tera yeh Sheher chor jaongi…. Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon Mein khudh ko rakh kar kaheen bhool jana chahti hoon,.
Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milen mujhko Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahti hoon,. Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham sai mujhe Koi bhi dard ho dil mein chupana chahti hoon,. Baha baha kai yeh ansoo bikhar chuki hoon buhut simat kai zaat mein ab muskurana chahti hoon,. Jisey aik umer sai Dil mein basa kai rakha hai Woh raaz aaj mein sab ko batana chahti hoon,.
Mujhe zamaney nai pathar samjh lia hai magar Mein aik Larki hoon sab ko batana chahti hoon,. Jo mujh sai ruth chuki hain zamaney ki khushiyan To mein bhi khushyon sai ab ruth jana chahti hoon,. Woh meri khwahishein woh mera khwaab woh mera bachpan Aye Umer rafta mein phir sai woh pana chahti hoon,. Mere Sapne Tod Kar Jaati??? Laakh inkaar karo tum par keh raha ye dil hamara hai, Teri aankhon ne kiya hai jise pasand wo chehra hamara hai,. Tumhari har adda ye kehti hai hamse tumpe haq sirf hamara Hai,Sach kahe to tu bhi khuda hamara hai,.
Haye re khuda lutt gaye ham uss par aur wo kitne naaz se kehte hai kya kasoor hamara hai, kaise bataye ki kaisa loota dil hamara hai…. Mujhe mera Maqsad mil jae! Ya… Moat aa Jae!!! Aik Larki Bholi BhaaLi si..
Apni hi Dhunn mein rehti thhi.. Wo Larki Shokh-o-Chenchal si.. PhoLon se Baten karte thhi.. TiTLi k Rang Pakarti thhi.. Aik dhanak thhi Us k Anchal per.. Phir Janey Kia Toofan Aaya..? TiTLi k Rang bikhar gaye.. AnchaL k Rang utar gaye.. Sapnon k Jugnu maand parey.. Jub poocha Kisi ne Aey Larki..!! Kiun Tum ne ye Chup Saadi Hai…?!!?
Uskii gali me phir mujhe,ek baar le chalo Majboor kar ke mujhko, mere yaar aaj le chalo Shayed ye mera weham ho, mera khayaal ho Mumkin hay mere baad, use mera ehsaas ho Pachtaa raha hoga ab mujhe dar se utha kar wo Baitha ho meri raah me, palken bicha ke wo Usne bhi to kiya tha, mujhe pyaar, le chalo aaj Uski gali me phir mujhe, ek baar le chalo Majboor kar ke mujhko mere yaar aaj le chalo.
Kahte kabhi jo log yun hi, ki ab woh zamana nahi, Dard mein jo kaam aaye, ab aisi dosti hai hi nahi, Rakha nahi ittefaq, unki en baato se hamne kabhi, Par aaj yeh ehsaas hai ki, sach hi kahte hai sabhi, Likhte hai apne dard ko, jo shayari bana ke hum kabhi, Karte hai wah-wah uspar dost mere aur kuch ajnabi, Samjhe toh hai woh shayari, par samjhe nahi mera dard kabhi, Wah-Wah na kijiye dost mere, jalta hai yeh dil ab bhi kabhi-kabhi.
Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay. Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay. Main us ke mohabat k samandar mein bahut door tak nikla, Mujhay saahil na mila ye or baat hay,.
Hr Baat pe Takrar munasib nahi lagta,. Apnon se youn Izhar munasib nahi lagta,. Agr Hum se Muhabat hai to keh kiyon nahi dety,. Aisy mein ye Tera Piyar munasib nahi lagta…. Is Hijr ki Rut mein chaly aao k Tere bin,. Ujra Dar-o-Dewar munasib nahi lagta…. Jaya na karo Tum youn Raqibon ki Gali mein,. Yaaron ka ye Kirdar munasib nahi lagta…. Milne ka kisi Roz to iqrar karo Tum,. Hr Baat pe Inkar munasib nahi lagta. Dil ki aag inn ashkon se bujh jaati to acha hota… bahut jatan kiye bahut pukaaraa jo ruk jaate to acha hota.
Kabhi door lagte ho , bahut door Kabhi paas , ek dam paas Pal men hota hun khush Pal men udas. Hari ghas aur hari ho gai hai Aur neela aasman aur bhi Neela ho gaya hai Phir bhi kuchh hai Jo kho gaya hai. Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko, Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko,. Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko, Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko,. Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae, Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko,.
Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar, Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko……. Naa jaane aaj kya mehsoos kar rahi hoon main Lag raha hai jaise sare ehsaas mar se gaye hai mere Jin ehsaaso ko shabdo mein piro kar ek naya roop diya karti thi. Aaj na jane kyun un shabdo se hi chid ho gayi hai mujhe Itne log hai mere aas paas lekin phir bhi akeli hoon main Sab kuch paakar bhi jaise kuch adhuri si hoon main Sapno me is kadar khoi rahi ki sacchai ka pata hi na chal saka.
Is tarah achanak sab khatm ho gaya ki ek aansu tak na beh saka Aaj khush hoon main, muskurati hoon main Koi dar nahi ki khone ko ab bacha hi kya hai Sab poochte hai ki itni khush kaise rehti hoon main Ki nahi jante wo, ab mere paas rone ko bacha hi kya hai…. Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein Lekin ye sochta hoon, Ke aab tera kyaa hoon mien. Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam Duniyaa Samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon mein.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay, …. Tmhen pany ki talab me kitna roya dil-e-muntazir Rat bhar jagny ki ibadat ka koi inam dia hota. Tum mere thay tum mere ho, Duniya ko bata kar kya kerna. By Er Gagandeep singh kamboj mob. Wesite Owner. Visit our Forum. First, it must be mentioned that this is. Total Website Visitors. Best Artical!
Best Mobile networking Tricks For You! Top Engineering Colleges in India. Top Windows Run Commands. Free Download Best Windows Software. Top Free Softwares in the World. Top Must Have Software. Hot Gov. Jobs For All. Download paid Softwares For Free. Whats Hot! Download Paid Software For with licence Key. Speak with one of our Professionals! Email : narendrakumarnks yahoo. Best Tips of This Month 1.
Safely and Effectively! Ancient and Natural Ways of. Brushing Teeth! How to Brush Your Teeth Properly! How to Fall Asleep! How to Heal a Burn!
How to Naturally Improve. Your Eyesight! How to Improve Your Memory! How to Prevent Cancer! How to Prevent Overeating,. Stomach Aches and Digestive Problems!
How to Quit Smoking! Copyright c Narendra Inc. Mon 30 Jan Palbhar mein toot jaye wo kasam nahi, Dost ko bhul jaye wo hum nahi, Tum hume bhool jao is baat mein dum nahi, Kyon ki tum hame bhul jao itne bure hum nahi.
0コメント